jaise in sajdon ka sar se rishta hai
jaise in sajdoñ kā sar se rishta hai
bilkul aisā merā ghar se rishta hai
merī āñkheñ kuchh soī sī rahtī haiñ
shāyad in kā ḳhvāb-nagar se rishta hai
tujh ko kaise bhuul sakegā dil merā
terā merā to indr se rishta hai
ai shahzādī saath hamāre mat chalnā
banjāroñ kā dhuup safar se rishta hai
lauh-e-falak par likkhī hai jis kī izzat
ham logoñ kā us ke dar se rishta hai
jis ke saa.e meñ ham baḳhshe jā.eñge
ham logoñ kā us chādar se rishta hai
vo auroñ par sañg uchhāle nā-mumkin
'mājid' kā shīshe ke ghar se rishta hai
jaise in sajdon ka sar se rishta hai
bilkul aisa mera ghar se rishta hai
meri aankhen kuchh soi si rahti hain
shayad in ka KHwab-nagar se rishta hai
tujh ko kaise bhul sakega dil mera
tera mera to indr se rishta hai
ai shahzadi sath hamare mat chalna
banjaron ka dhup safar se rishta hai
lauh-e-falak par likkhi hai jis ki izzat
hum logon ka us ke dar se rishta hai
jis ke sae mein hum baKHshe jaenge
hum logon ka us chadar se rishta hai
wo auron par sang uchhaale na-mumkin
'majid' ka shishe ke ghar se rishta hai
- Book : Shaakh-e-Dil (Pg. 25)
- Author : Dr. Majid Deobandi
- Publication : Anjum Book Depot, Delhi-6 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.