Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise ji chahe mera hausla parkha jae

Rakhshanda Naved

jaise ji chahe mera hausla parkha jae

Rakhshanda Naved

MORE BYRakhshanda Naved

    jaise chāhe mirā hausla parkhā jaa.e

    duur ik dasht meñ tanhā kahīñ pheñkā jaa.e

    toḌnā aur ka.ī baar banānā mujh ko

    dosto itnā bhī āsān na samjhā jaa.e

    rakkhā jaa.e mujhe jannat se kisī manzar meñ

    paañv ke nīche jannat ko na rakkhā jaa.e

    dekhne vaale hasīñ aañkh bahut dekhte haiñ

    jo pas-e-chashm hai ġham us ko bhī dekhā jaa.e

    maiñ ne kuchh bāteñ farishtoñ ko batānī haiñ abhī

    arsh pe aaj usī vaqt bulāyā jaa.e

    ātish-e-vaqt badal Dālegī chehre ke nuqūsh

    ab mire chehre pe kuchh aur na pheñkā jaa.e

    us takmīl meñ shāmil hai mirā puurā vajūd

    ghar taḳhtī pe mirā naam bhī likkhā jaa.e

    is kahānī hai 'raḳhshanda' yahī lubb-e-lubāb

    pahle izzat ho to phir ba.ad meñ chāhā jaa.e

    jaise ji chahe mera hausla parkha jae

    dur ek dasht mein tanha kahin phenka jae

    toDna aur kai bar banana mujh ko

    dosto itna bhi aasan na samjha jae

    rakkha jae mujhe jannat se kisi manzar mein

    panw ke niche hi jannat ko na rakkha jae

    dekhne wale hasin aankh bahut dekhte hain

    jo pas-e-chashm hai gham us ko bhi dekha jae

    main ne kuchh baaten farishton ko batani hain abhi

    arsh pe aaj usi waqt bulaya jae

    aatish-e-waqt badal Dalegi chehre ke nuqush

    ab mere chehre pe kuchh aur na phenka jae

    us ki takmil mein shamil hai mera pura wajud

    ghar ki taKHti pe mera nam bhi likkha jae

    is kahani ka hai 'raKHshanda' yahi lubb-e-lubab

    pahle izzat ho to phir baad mein chaha jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now