jaise kisi ko KHwab mein main DhunDhta raha
jaise kisī ko ḳhvāb meñ maiñ DhūñDhtā rahā
daldal meñ dhañs gayā thā magar bhāgtā rahā
bechain raat karvaTeñ letī thiiñ baar baar
lagtā hai mere saath ḳhudā jāgtā rahā
apnī azaañ to koī muazzin na sun sakā
kānoñ pe haath rakhe hue boltā rahā
saa.at duā kī aa.ī to hasab-e-nasīb maiñ
ḳhālī hatheliyoñ ko abas ghūrtā rahā
us kī nazar ke sañg se maiñ ā.ina-misāl
TuuTā to TuuT kar bhī use dekhtā rahā
insāñ kisī bhī daur meñ mushrik na thā kabhī
patthar ke naam par bhī tujhe pūjtā rahā
jaise kisi ko KHwab mein main DhunDhta raha
daldal mein dhans gaya tha magar bhagta raha
bechain raat karwaTen leti thin bar bar
lagta hai mere sath KHuda jagta raha
apni azan to koi muazzin na sun saka
kanon pe hath rakhe hue bolta raha
saat dua ki aai to hasab-e-nasib main
KHali hatheliyon ko abas ghurta raha
us ki nazar ke sang se main aaina-misal
TuTa to TuT kar bhi use dekhta raha
insan kisi bhi daur mein mushrik na tha kabhi
patthar ke nam par bhi tujhe pujta raha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 532)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.