jaise main dekhta hun log nahin dekhte hain
jaise maiñ dekhtā huuñ log nahīñ dekhte haiñ
zulm hotā hai kahīñ aur kahīñ dekhte haiñ
tiir aayā thā jidhar se ye mire shahr ke log
kitne saadā haiñ ki marham bhī vahīñ dekhte haiñ
kyā huā vaqt kā dā'vā ki har ik agle baras
ham use aur hasīñ aur hasīñ dekhte haiñ
us galī meñ hameñ yuuñ hī to nahīñ dil kī talāsh
jis jagah kho.e koī chiiz vahīñ dekhte haiñ
shāyad is baar mile koī bashārat 'amjad'
aa.iye phir se muqaddar kī jabīñ dekhte haiñ
jaise main dekhta hun log nahin dekhte hain
zulm hota hai kahin aur kahin dekhte hain
tir aaya tha jidhar se ye mere shahr ke log
kitne sada hain ki marham bhi wahin dekhte hain
kya hua waqt ka da'wa ki har ek agle baras
hum use aur hasin aur hasin dekhte hain
us gali mein hamein yun hi to nahin dil ki talash
jis jagah khoe koi chiz wahin dekhte hain
shayad is bar mile koi bashaarat 'amjad'
aaiye phir se muqaddar ki jabin dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.