jaise mehman koi aae kisi mehman ke baad
jaise mehmāñ koī aa.e kisī mehmān ke ba.ad
sher maiñ ne bhī kahe haiñ na.e ruj.hān ke ba.ad
faisla soch ke karnā kahīñ ronā na paḌe
rakh ke aayā huuñ maiñ āñkheñ tire īmān ke ba.ad
is ināyat pe maiñ iz.hār kaun sā rañg
kashtiyāñ le ke chale aa.e ho tūfān ke ba.ad
merī āñkhoñ ke madīne meñ vahī hai ab tak
thā jo qur.ān se pahle hai jo qur.ān ke ba.ad
raushnī bāñTī yahāñ maiñ ne charāġhoñ ke baġhair
zindagī tū ne bhī dekhā mujhe tāvān ke ba.ad
jaise mehman koi aae kisi mehman ke baad
sher main ne bhi kahe hain nae rujhan ke baad
faisla soch ke karna kahin rona na paDe
rakh ke aaya hun main aankhen tere iman ke baad
is inayat pe main izhaar kaun sa rang
kashtiyan le ke chale aae ho tufan ke baad
meri aankhon ke madine mein wahi hai ab tak
tha jo quran se pahle hai jo quran ke baad
raushni banTi yahan main ne charaghon ke baghair
zindagi tu ne bhi dekha mujhe tawan ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.