jaise sawal mein ho koi jawab sa
jaise savāl meñ ho koī javāb sā
rakh kar chalā gayā vo āñkhoñ meñ ḳhvāb sā
un sā hasīn koī is shahr meñ nahīñ
āñkheñ sharāb jaisī chehra kitāb sā
kāñTā chubho gayā vo dil ḳhuun ho gayā
ik chehra lag rahā thā ham ko gulāb sā
āvāra ho gayā hai ai dost ishq bhī
phirtā hai shahr-e-jāñ meñ ab be-hijāb sā
piitā rahā huuñ aañsū ik umr hijr meñ
nashsha hai un meñ sāhib bilkul sharāb sā
is rāste meñ koī mil jā.egā zarūr
achchhā sā gar na hogā hogā ḳharāb sā
aatā nahīñ nazar vo koshish ke bāvajūd
pahnā huā hai is ne kuchh to naqāb sā
kyā pūchhte ho baare 'tāhir-azīm' ke
is shahr meñ nahīñ hai koī janāb sā
jaise sawal mein ho koi jawab sa
rakh kar chala gaya wo aankhon mein KHwab sa
un sa hasin koi is shahr mein nahin
aankhen sharab jaisi chehra kitab sa
kanTa chubho gaya wo dil KHun ho gaya
ek chehra lag raha tha hum ko gulab sa
aawara ho gaya hai ai dost ishq bhi
phirta hai shahr-e-jaan mein ab be-hijab sa
pita raha hun aansu ek umr hijr mein
nashsha hai un mein sahib bilkul sharab sa
is raste mein koi mil jaega zarur
achchha sa gar na hoga hoga KHarab sa
aata nahin nazar wo koshish ke bawajud
pahna hua hai is ne kuchh to naqab sa
kya puchhte ho bare 'tahir-azim' ke
is shahr mein nahin hai koi janab sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.