jaise-taise nikal lete hain
jaise-taise nikāl lete haiñ
chand lamhe nikāl lete haiñ
ḳhud hī sete haiñ zaḳhm dil ke ham
ḳhud hī dhāge nikāl lete haiñ
apne chehre se ik nayā chehra
log kaise nikāl lete haiñ
naam le ke tumhārā dukh ham se
ashk saare nikāl lete haiñ
phir samundar lagegā niilā falak
gar sitāre nikāl lete haiñ
terī yādoñ ke bahr se ab ham
sher achchhe nikāl lete haiñ
mushkilāt-e-jahān se 'tāsīr'
sachche jazbe nikāl lete haiñ
jaise-taise nikal lete hain
chand lamhe nikal lete hain
KHud hi sete hain zaKHm dil ke hum
KHud hi dhage nikal lete hain
apne chehre se ek naya chehra
log kaise nikal lete hain
nam le ke tumhaara dukh hum se
ashk sare nikal lete hain
phir samundar lagega nila falak
gar sitare nikal lete hain
teri yaadon ke bahr se ab hum
sher achchhe nikal lete hain
mushkilat-e-jahan se 'tasir'
sachche jazbe nikal lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.