jaise ujDa hua main waise hai ujDa hua tu
jaise ujḌā huā maiñ vaise hai ujḌā huā tū
kis liye aatā hai phir ḳhvāb meñ rotā huā tū
ye mirī āḳhirī ḳhvāhish hai so maanī jaa.e
muskurātā hī rahe sāmne baiThā huā tū
merī sāñsoñ se milātā thā tū apnī sāñseñ
ab to muddat se mire yaar hai bichhḌā huā tū
tū jo laḌtā hai to hai fā.eda merā is meñ
kis qadar dost hasīñ lagtā hai rūThā huā tū
merī koshish mirī kāvish se tū lauT aa.egā
ek arse kī riyāzat se hai māñgā huā tū
jaise ujDa hua main waise hai ujDa hua tu
kis liye aata hai phir KHwab mein rota hua tu
ye meri aaKHiri KHwahish hai so mani jae
muskuraata hi rahe samne baiTha hua tu
meri sanson se milata tha tu apni sansen
ab to muddat se mere yar hai bichhDa hua tu
tu jo laDta hai to hai faeda mera is mein
kis qadar dost hasin lagta hai ruTha hua tu
meri koshish meri kawish se tu lauT aaega
ek arse ki riyazat se hai manga hua tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.