jaise use qubul tha karna paDa mujhe
jaise use qubūl thā karnā paḌā mujhe
har zāviye se ḳhud ko badalnā paḌā mujhe
yādoñ kī rail aur kahīñ jā rahī thī phir
zanjīr khīñch kar hī utarnā paḌā mujhe
har hādse ke ba.ad koī hādisa huā
har hādse ke ba.ad sambhalnā paḌā mujhe
chāhā thā us ne merī udāsī hasīn ho
huzn-o-malāl meñ bhī nikharnā paḌā mujhe
pahle mukar ga.ī maiñ kisī aur baat se
phir apnī baat se bhī mukarnā paḌā mujhe
jaise use qubul tha karna paDa mujhe
har zawiye se KHud ko badalna paDa mujhe
yaadon ki rail aur kahin ja rahi thi phir
zanjir khinch kar hi utarna paDa mujhe
har hadse ke baad koi hadisa hua
har hadse ke baad sambhalna paDa mujhe
chaha tha us ne meri udasi hasin ho
huzn-o-malal mein bhi nikharna paDa mujhe
pahle mukar gai main kisi aur baat se
phir apni baat se bhi mukarna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.