jaisi nigah thi teri waisa fusun hua
jaisī nigāh thī tirī vaisā fusūñ huā
jo kuchh tire ḳhayāl meñ thā jūñ-kā-tūñ huā
bād-e-muḳhālifat jo kabhī tez-tar huī
sargarm aur bhī tirā jazb-e-darūñ huā
ḳhurshīd aap le ke chalā tujh ko saa.e saa.e
terī muvāfaqat meñ falak vāzhgūñ huā
tere tufail jaatī rahī ḳhaar se chubhan
shādābiyoñ meñ mazra.a-e-hastī fuzūñ huā
azmat kare salām tire naam kī mudām
parcham tirī vafāt ke din sar-nigūñ huā
jaisi nigah thi teri waisa fusun hua
jo kuchh tere KHayal mein tha jun-ka-tun hua
baad-e-muKHalifat jo kabhi tez-tar hui
sargarm aur bhi tera jazb-e-darun hua
KHurshid aap le ke chala tujh ko sae sae
teri muwafaqat mein falak wazhgun hua
tere tufail jati rahi KHar se chubhan
shadabiyon mein mazra-e-hasti fuzun hua
azmat kare salam tere nam ki mudam
parcham teri wafat ke din sar-nigun hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.