jal gae afkar tere meri tahriren jalin
jal ga.e afkār tere merī tahrīreñ jalīñ
ab numā.ish kis kī hogī saarī tasvīreñ jalīñ
jin kī buniyādoñ meñ ik taqdīs thī tahzīb thī
aaj mere shahr kī vo saarī tāmīreñ jalīñ
ye to zindāñ ke nigahbāñ hī batā.eñge tumheñ
kin asīroñ ne lagā.ī aag zanjīreñ jalīñ
ātishīñ sahrā meñ mere ḳhvāb to mahfūz the
ye nahīñ mālūm kis gulshan meñ tā'bīreñ jalīñ
ab to phirtā hai 'vafā' ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah
jo milīñ thiiñ us ko virse meñ vo jāgīreñ jalīñ
jal gae afkar tere meri tahriren jalin
ab numaish kis ki hogi sari taswiren jalin
jin ki buniyaadon mein ek taqdis thi tahzib thi
aaj mere shahr ki wo sari tamiren jalin
ye to zindan ke nigahban hi bataenge tumhein
kin asiron ne lagai aag zanjiren jalin
aatishin sahra mein mere KHwab to mahfuz the
ye nahin malum kis gulshan mein ta'biren jalin
ab to phirta hai 'wafa' KHana-ba-doshon ki tarah
jo milin thin us ko wirse mein wo jagiren jalin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.