jal ke aatish mein miyan KHud ko jalate hain charagh
jal ke aatish mein miyan KHud ko jalate hain charagh
Ameer Hamza Salfi
MORE BYAmeer Hamza Salfi
jal ke ātish meñ miyāñ ḳhud ko jalāte haiñ charāġh
ghup añdhere meñ bhī farz apnā nibhāte haiñ charāġh
kaun kahtā hai ki sūraj ke barābar hai charāġh
log jāhil haiñ ki sūraj ko dikhāte haiñ charāġh
ye nahīñ dekhte sūraj bhī yahāñ haiñ baiThe
log pāgal haiñ ki mahfil meñ sajāte haiñ charāġh
bhaa.ī halkā nahīñ lenā hai kisī ek ko bhī
raakh kar dete haiñ jab taish meñ aate haiñ charāġh
jin ko 'hamza' mire hāthoñ ne diyā ek vajūd
hai ajab ab ye mujhe aañkh dikhāte haiñ charāġh
jal ke aatish mein miyan KHud ko jalate hain charagh
ghup andhere mein bhi farz apna nibhate hain charagh
kaun kahta hai ki suraj ke barabar hai charagh
log jahil hain ki suraj ko dikhate hain charagh
ye nahin dekhte suraj bhi yahan hain baiThe
log pagal hain ki mahfil mein sajate hain charagh
bhai halka nahin lena hai kisi ek ko bhi
rakh kar dete hain jab taish mein aate hain charagh
jin ko 'hamza' mere hathon ne diya ek wajud
hai ajab ab ye mujhe aankh dikhate hain charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.