jala hun dhup mein ek shahr-e-rang-o-bu ke liye
jalā huuñ dhuup meñ ik shahr-e-rang-o-bū ke liye
milī hai tishna-labī sair-e-āb-e-jū ke liye
tire badan kī mahak ajnabī sahī lekin
mire qarīb se guzrī hai guftugū ke liye
junūñ kā paas vafā kā ḳhayāl husn kā ġham
ka.ī charāġh jale ek aarzū ke liye
na āñsuoñ ke sitāre na qahqahoñ ke gulāb
koī to jashn karo apne māh-rū ke liye
na.e savāl na.e tajrabe na.e chehre
hazār moḌ haiñ ik merī justujū ke liye
jala hun dhup mein ek shahr-e-rang-o-bu ke liye
mili hai tishna-labi sair-e-ab-e-ju ke liye
tere badan ki mahak ajnabi sahi lekin
mere qarib se guzri hai guftugu ke liye
junun ka pas wafa ka KHayal husn ka gham
kai charagh jale ek aarzu ke liye
na aansuon ke sitare na qahqahon ke gulab
koi to jashn karo apne mah-ru ke liye
nae sawal nae tajrabe nae chehre
hazar moD hain ek meri justuju ke liye
- Book : Shanasai (Pg. 116)
- Author : Jazib Qureshi
- Publication : Panjab Book House, Urdu Bazar, Karachi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.