jala kar KHud ko teri aankh ka kajal banaunga
jalā kar ḳhud ko terī aañkh kā kājal banā.ūñgā
jo tishna-lab hai ye sāvan ise bādal banā.ūñgā
bahut maġhrūr ho kar phirtī hai vo shahr meñ laḌkī
nigāh-e-nāz se apnī use ghāyal banā.ūñgā
na sonā hai na chāñdī hai na hai kuchh milkiyat apnī
darīda pairahan se maiñ tirī pāyal banā.ūñgā
bahut hairān hogī 'naqsh' kī hālat se ye duniyā
maiñ tere ishq meñ ḳhud ko kabhī pāgal banā.ūñgā
jala kar KHud ko teri aankh ka kajal banaunga
jo tishna-lab hai ye sawan ise baadal banaunga
bahut maghrur ho kar phirti hai wo shahr mein laDki
nigah-e-naz se apni use ghayal banaunga
na sona hai na chandi hai na hai kuchh milkiyat apni
darida pairahan se main teri payal banaunga
bahut hairan hogi 'naqsh' ki haalat se ye duniya
main tere ishq mein KHud ko kabhi pagal banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.