jala ke dil ko rakha subh-o-sham roz-o-shab
jalā ke dil ko rakhā sub.h-o-shām roz-o-shab
mirā kamāl kamāl-e-charāġh hai ki nahīñ
rahā hai musht-e-turāb-e-azal mirā mamba.a
mirī ye ḳhāk-e-kamāl-e-ayāġh hai ki nahīñ
mujhe banāyā sarāpā savāl ab to batā
mirī talāsh kamāl-e-surāġh hai ki nahīñ
ġham-e-vajūd kā mātam karūñ to kaise jiyūñ
magar ḳhudā tire dāman pe daaġh hai ki nahīñ
jo kho gayā tirā 'āhan' sarāb-e-ḳhvāhish meñ
bhaTak na jaa.eñ kahīñ be-dimāġh hai ki nahīñ
jala ke dil ko rakha subh-o-sham roz-o-shab
mera kamal kamal-e-charagh hai ki nahin
raha hai musht-e-turab-e-azal mera mamba
meri ye KHak-e-kamal-e-ayagh hai ki nahin
mujhe banaya sarapa sawal ab to bata
meri talash kamal-e-suragh hai ki nahin
gham-e-wajud ka matam karun to kaise jiyun
magar KHuda tere daman pe dagh hai ki nahin
jo kho gaya tera 'ahan' sarab-e-KHwahish mein
bhaTak na jaen kahin be-dimagh hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.