jalao gham ke diye pyar ki nigahon mein
jalāo ġham ke diye pyaar kī nigāhoñ meñ
ki tīrgī hai bahut zindagī kī rāhoñ meñ
sunā ki ab bhī sar-e-shām vo jalāte haiñ
udāsiyoñ ke diye muntazir nigāhoñ meñ
ġham-e-hayāt ne dāman pakaḌ liyā varna
baḌe hasīn bulāve the un nigāhoñ meñ
kahīñ qarīb kahīñ duur ho ga.e 'jāmī'
vo zindagī kī tarah zindagī kī rāhoñ meñ
jalao gham ke diye pyar ki nigahon mein
ki tirgi hai bahut zindagi ki rahon mein
suna ki ab bhi sar-e-sham wo jalate hain
udasiyon ke diye muntazir nigahon mein
gham-e-hayat ne daman pakaD liya warna
baDe hasin bulawe the un nigahon mein
kahin qarib kahin dur ho gae 'jami'
wo zindagi ki tarah zindagi ki rahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.