jald-az-jald bichhaD jaun dua de mujhko
jald-az-jald bichhaḌ jā.ūñ duā de mujh ko
yahī behtar hai tire haq meñ bhulā de mujh ko
har koī sabr kī talqīn kiyā kartā hai
kaise karte haiñ koī ye bhī batā de mujh ko
maiñ huuñ sadiyoñ se bhaTaktā huā pyāsā dariyā
ai ḳhudā kuchh to samundar ke sivā de mujh ko
mujh sā dīvāna nahīñ sab ko mayassar pyāre
ab tirī marzī hai chāhe to gañvā de mujh ko
is se pahle kī ḳhāmoshī mujhe pāgal kar de
us se kahiyo kī zarā aa ke rulā de mujh ko
in dinoñ dost mire saare hī rūThe hue haiñ
mere dushman yahī mauqa hai harā de mujh ko
jald-az-jald bichhaD jaun dua de mujh ko
yahi behtar hai tere haq mein bhula de mujh ko
har koi sabr ki talqin kiya karta hai
kaise karte hain koi ye bhi bata de mujh ko
main hun sadiyon se bhaTakta hua pyasa dariya
ai KHuda kuchh to samundar ke siwa de mujh ko
mujh sa diwana nahin sab ko mayassar pyare
ab teri marzi hai chahe to ganwa de mujh ko
is se pahle ki KHamoshi mujhe pagal kar de
us se kahiyo ki zara aa ke rula de mujh ko
in dinon dost mere sare hi ruThe hue hain
mere dushman yahi mauqa hai hara de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.