jald husn-o-jamal jata hai
jald husn-o-jamāl jaatā hai
nahīñ rahtā ye haal jaatā hai
jab talak dekhtā nahīñ us ko
dil meñ kyā kyā ḳhayāl jaatā hai
kaun se vaqt 'arz-e-hāl karūñ
vo to har vaqt Taal jaatā hai
jis kā hotā hai ġham se dil bhārī
vo tire dar pe Daal jaatā hai
sarsoñ āñkhoñ meñ kyuuñ na phūle ab
zard oḌhe do-shāl jaatā hai
saaf samjhā nahīñ mujhe 'āshiq
baat kahte sañbhāl jaatā hai
jaan detā huuñ jald dekhūñ to
nāma-bar kaisī chaal jaatā hai
nukta-chīnoñ ne kuchh kahā to kyā
koī is meñ kamāl jaatā hai
kuchh rihā.ī nazar nahīñ aatī
yuuñ hī ab kā bhī saal jaatā hai
aah misl-e-shab-e-javānī jald
kyā ye roz-e-visāl jaatā hai
dilbarī vo sanam kare merī
kuchh bhalā ehtimāl jaatā hai
yuuñ ḳhudā kī ḳhudā.ī hai mā'mūr
par kab apnā ḳhayāl jaatā hai
tū to ḳhush ho 'hasan' ke jaane se
terā ranj-o-malāl jaatā hai
jald husn-o-jamal jata hai
nahin rahta ye haal jata hai
jab talak dekhta nahin us ko
dil mein kya kya KHayal jata hai
kaun se waqt 'arz-e-haal karun
wo to har waqt Tal jata hai
jis ka hota hai gham se dil bhaari
wo tere dar pe Dal jata hai
sarson aankhon mein kyun na phule ab
zard oDhe do-shaal jata hai
saf samjha nahin mujhe 'ashiq
baat kahte sanbhaal jata hai
jaan deta hun jald dekhun to
nama-bar kaisi chaal jata hai
nukta-chinon ne kuchh kaha to kya
koi is mein kamal jata hai
kuchh rihai nazar nahin aati
yun hi ab ka bhi sal jata hai
aah misl-e-shab-e-jawani jald
kya ye roz-e-visal jata hai
dilbari wo sanam kare meri
kuchh bhala ehtimal jata hai
yun KHuda ki KHudai hai ma'mur
par kab apna KHayal jata hai
tu to KHush ho 'hasan' ke jaane se
tera ranj-o-malal jata hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.