jald o maah tū ghar se niklā
shukr hai chāñd kidhar se niklā
sāmnā chhoḌ nā denā ḳhurshīd
ḳhanjar us mah kī kamar se niklā
terā 'āshiq to na thā o laila
koī majnūñ sā udhar se niklā
misl-e-bū ruḳh nā kiyā sū-e-chaman
phir nā aayā maiñ jidhar se niklā
dil ne phir tujh se lagā.ī ho na lau
aah phir sho'la jigar se niklā
kis kī āñkhoñ pe chaḌhā thā ki ye dil
ho ke ḳhuuñ dīda-e-tar se niklā
zulf tak haath to pahuñchā baare
silsila mū-e-kamar se niklā
sair gul-rūyoñ kī kartā hogā
hai 'nasīm' aaj sahar se niklā
jald o mah tu ghar se nikla
shukr hai chand kidhar se nikla
samna chhoD na dena KHurshid
KHanjar us mah ki kamar se nikla
tera 'ashiq to na tha o laila
koi majnun sa udhar se nikla
misl-e-bu ruKH na kiya su-e-chaman
phir na aaya main jidhar se nikla
dil ne phir tujh se lagai ho na lau
aah phir sho'la jigar se nikla
kis ki aankhon pe chaDha tha ki ye dil
ho ke KHun dida-e-tar se nikla
zulf tak hath to pahuncha bare
silsila mu-e-kamar se nikla
sair gul-ruyon ki karta hoga
hai 'nasim' aaj sahar se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.