jalega chand sitare dhuan uDaenge
jalegā chāñd sitāre dhuāñ uḌā.eñge
hamāre ḳhvāb tirī aañkh meñ jab ā.eñge
mirī nazar se vo chehre utar nahīñ sakte
jinheñ ye ahl-e-nazar jald bhuul jā.eñge
ġhazal sunāo bahalnā bahut zarūrī hai
hañseñge log ham aañsū agar bahā.enge
phir aa.ī shaam daraḳhtoñ pe ghoñsle jaage
magar ham aaj bhī ai dost ghar na jā.eñge
udaas rahiye na uktā ke ḳhud-kushī kiije
vo din qarīb hai jab aap gul khilā.enge
kafan se kam nahīñ jaaḌe kī chāñdnī 'rāhī'
ab is ko oḌh ke ham kaise muskurā.eñge
jalega chand sitare dhuan uDaenge
hamare KHwab teri aankh mein jab aaenge
meri nazar se wo chehre utar nahin sakte
jinhen ye ahl-e-nazar jald bhul jaenge
ghazal sunao bahalna bahut zaruri hai
hansenge log hum aansu agar bahaenge
phir aai sham daraKHton pe ghonsle jage
magar hum aaj bhi ai dost ghar na jaenge
udas rahiye na ukta ke KHud-kushi kije
wo din qarib hai jab aap gul khilaenge
kafan se kam nahin jaDe ki chandni 'rahi'
ab is ko oDh ke hum kaise muskuraenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.