jalsa ye taziyat ka abhi multawi rakhen
jalsa ye tā'ziyat kā abhī multavī rakheñ
yūñhī zarā sī der ko bas mar gayā huuñ maiñ
ghar par mire ye bhiiḌ yuñhī be-sabab nahīñ
mujh ko ye lag rahā hai ki kuchh kar gayā huuñ maiñ
merā badan hai ye ki hai godām ruuh kā
ḳhālī karo mujhe ki bahut bhar gayā huuñ maiñ
kuchh aur behtarī kā bhī imkān thā pa ḳhair
aayā thā jitnā us se to behtar gayā huuñ maiñ
jalsa ye ta'ziyat ka abhi multawi rakhen
yunhi zara si der ko bas mar gaya hun main
ghar par mere ye bhiD yunhi be-sabab nahin
mujh ko ye lag raha hai ki kuchh kar gaya hun main
mera badan hai ye ki hai godam ruh ka
KHali karo mujhe ki bahut bhar gaya hun main
kuchh aur behtari ka bhi imkan tha pa KHair
aaya tha jitna us se to behtar gaya hun main
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 89)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.