jalta charagh raat ki chaukhaT pe chhoD kar
jaltā charāġh raat kī chaukhaT pe chhoḌ kar
ham āsmān se laa.e haiñ ik sub.h toḌ kar
jaane mirī kitāb se kaise nikal ga.e
rakkhe the us kī yaad ke safhāt moḌ kar
shāyad hamāre vasl kī sūrat nikal paḌe
dekheñge aaj haath kī satroñ ko joḌ kar
gum ho ga.e haiñ surmagīñ almāriyoñ ke ḳhvāb
aayā thā koī raat ke tāloñ ko toḌ kar
ik umr ham ne vaar dī ġham kī sabīl par
ik būñd-e-ishq pā liyā duniyā nichoḌ kar
rahte haiñ ham to aaj bhī vahshat ke ās-pās
haañ haañ vahī makān hai do galiyāñ chhoḌ kar
jalta charagh raat ki chaukhaT pe chhoD kar
hum aasman se lae hain ek subh toD kar
jaane meri kitab se kaise nikal gae
rakkhe the us ki yaad ke safhat moD kar
shayad hamare wasl ki surat nikal paDe
dekhenge aaj hath ki satron ko joD kar
gum ho gae hain surmagin almariyon ke KHwab
aaya tha koi raat ke talon ko toD kar
ek umr hum ne war di gham ki sabil par
ek bund-e-ishq pa liya duniya nichoD kar
rahte hain hum to aaj bhi wahshat ke aas-pas
han han wahi makan hai do galiyan chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.