jalta hua jo chhoD gaya taq par mujhe
jaltā huā jo chhoḌ gayā taaq par mujhe
dekhā na is ne luuT ke pichhle pahar mujhe
vahshat se thā navāznā itnā agar mujhe
sahrā diyā hai kyuuñ faqat āfāq bhar mujhe
maiñ gūñjtā thā harf meñ Dhalne se peshtar
gherā hai ab sukūt ne aurāq par mujhe
shām-o-sahar kī gardisheñ bhī dekhnī to haiñ
ab chaak se utaar mire kūza-gar mujhe
daryā-e-maug-ḳhez bhī jis par savār thā
honā paḌā savār usī naav par mujhe
mujh meñ taḌap rahā hai koī chashma-e-sukūt
zarb-e-asā se dekh kabhī toḌ kar mujhe
pahuñchā kidhar yahāñ na zamīñ hai na āsmāñ
ab kaun sī masāfateñ karnī haiñ sar mujhe
the ganj-e-be-qayās tah-e-qulzum-e-vajūd
Duubā jo maiñ to mil ga.e la.al-o-guhar mujhe
jo lā sake na taab hī mere junūn kī
is dasht-e-kam-savād meñ dāḳhil na kar mujhe
shāyad haTā hai ġhaib kā parda 'rafīq-rāz'
aatā hai naḳhl-e-āb pe sho.ala nazar mujhe
jalta hua jo chhoD gaya taq par mujhe
dekha na is ne luT ke pichhle pahar mujhe
wahshat se tha nawazna itna agar mujhe
sahra diya hai kyun faqat aafaq bhar mujhe
main gunjta tha harf mein Dhalne se peshtar
ghera hai ab sukut ne auraq par mujhe
sham-o-sahar ki gardishen bhi dekhni to hain
ab chaak se utar mere kuza-gar mujhe
darya-e-maug-KHez bhi jis par sawar tha
hona paDa sawar usi naw par mujhe
mujh mein taDap raha hai koi chashma-e-sukut
zarb-e-asa se dekh kabhi toD kar mujhe
pahuncha kidhar yahan na zamin hai na aasman
ab kaun si masafaten karni hain sar mujhe
the ganj-e-be-qayas tah-e-qulzum-e-wajud
Duba jo main to mil gae lal-o-guhar mujhe
jo la sake na tab hi mere junun ki
is dasht-e-kam-sawad mein daKHil na kar mujhe
shayad haTa hai ghaib ka parda 'rafiq-raaz'
aata hai naKHl-e-ab pe shoala nazar mujhe
- Book : Nakhl-e-Aab (Pg. 105)
- Author : Rafeeq Raaz
- Publication : Takbeer Publications, Srinagar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.