jalta hun hijr-e-shahid o yaad-e-sharab mein
jaltā huuñ hijr-e-shāhid o yād-e-sharāb meñ
shauq-e-savāb ne mujhe Daalā azaab meñ
kahte haiñ tum ko hosh nahīñ iztirāb meñ
saare gile tamām hue ik javāb meñ
phailī shamīm-e-yār mire ashk-e-surḳh se
dil ko ġhazab fishār huā pech-o-tāb meñ
chīn-e-jabīñ ko dekh ke dil basta-tar huā
kaisī kushūd-e-kār kushād-e-naqāb meñ
ham kuchh to bad the jab na kiyā yaar ne pasand
ai hasrat is qadar ġhalatī intiḳhāb meñ
rahte haiñ jamā kūcha-e-jānāñ meñ ḳhaas o aam
ābād ek ghar hai jahān-e-ḳharāb meñ
aañkh us kī phir ga.ī thī dil apnā bhī phir gayā
ye aur inqilāb huā inqilāb meñ
badnām mere girya-e-rusvā se ho chuke
ab uzr kyā rahā nigah-e-be-hijāb meñ
matlab kī justujū ne ye kyā haal kar diyā
hasrat bhī ab nahīñ dil-e-nākām-yāb meñ
goyā ki ro rahā huuñ raqīboñ kī jaan ko
ātish zabāna-zan huī tūfān-e-āb meñ
nākāmiyoñ se kaam rahā umr bhar hameñ
piirī meñ yaas hai jo havas thī shabāb meñ
hai iḳhtiyār-e-yār meñ suud o ziyāñ magar
fāzil the ham jahāñ se qazā ke hisāb meñ
nāseh hai aib-jū o dil-āzār is qadar
goyā savāb hai suḳhan-e-nā-savāb meñ
donoñ kā ek haal hai ye mudda.ā ho kaash
vo hī ḳhat us ne bhej diyā kyuuñ javāb meñ
taqdīr bhī burī mirī taqrīr bhī burī
bigḌe vo pursish-e-sabab-e-ijtināb meñ
kyā jalve yaad aa.e ki apnī ḳhabar nahīñ
be-bāda mast huuñ maiñ shab-e-māhtāb meñ
hai minnatoñ kā vaqt shikāyat rahī rahī
aa.e to haiñ manāne ko vo par itaab meñ
terī jafā na ho to hai sab dushmanoñ se amn
badmast ġhair mahv dil aur baḳht ḳhvāb meñ
paiham sujūd pā-e-sanam par dam-e-vidā
'momin' ḳhudā ko bhuul ga.e iztirāb meñ
jalta hun hijr-e-shahid o yaad-e-sharab mein
shauq-e-sawab ne mujhe Dala azab mein
kahte hain tum ko hosh nahin iztirab mein
sare gile tamam hue ek jawab mein
phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKH se
dil ko ghazab fishaar hua pech-o-tab mein
chin-e-jabin ko dekh ke dil basta-tar hua
kaisi kushud-e-kar kushad-e-naqab mein
hum kuchh to bad the jab na kiya yar ne pasand
ai hasrat is qadar ghalati intiKHab mein
rahte hain jama kucha-e-jaanan mein KHas o aam
aabaad ek ghar hai jahan-e-KHarab mein
aankh us ki phir gai thi dil apna bhi phir gaya
ye aur inqilab hua inqilab mein
badnam mere girya-e-ruswa se ho chuke
ab uzr kya raha nigah-e-be-hijab mein
matlab ki justuju ne ye kya haal kar diya
hasrat bhi ab nahin dil-e-nakaam-yab mein
goya ki ro raha hun raqibon ki jaan ko
aatish zabana-zan hui tufan-e-ab mein
nakaamiyon se kaam raha umr bhar hamein
piri mein yas hai jo hawas thi shabab mein
hai iKHtiyar-e-yar mein sud o ziyan magar
fazil the hum jahan se qaza ke hisab mein
naseh hai aib-ju o dil-azar is qadar
goya sawab hai suKHan-e-na-sawab mein
donon ka ek haal hai ye muddaa ho kash
wo hi KHat us ne bhej diya kyun jawab mein
taqdir bhi buri meri taqrir bhi buri
bigDe wo pursish-e-sabab-e-ijtinab mein
kya jalwe yaad aae ki apni KHabar nahin
be-baada mast hun main shab-e-mahtab mein
hai minnaton ka waqt shikayat rahi rahi
aae to hain manane ko wo par itab mein
teri jafa na ho to hai sab dushmanon se amn
badmast ghair mahw dil aur baKHt KHwab mein
paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-wida
'momin' KHuda ko bhul gae iztirab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.