jalta raha charagh yaqin-o-guman ka
jaltā rahā charāġh yaqīn-o-gumān kā
lekin huā na duur añdherā makān kā
gandum kī bāliyoñ se bahut raushnī huī
is raushnī se qarz na utrā kisān kā
āñchal kisī kā tez havā ne uḌā diyā
kashtī se rābta na rahā bādbān kā
zaḳhm-e-navāzishāt mahaktā rahā sadā
dekhā koī gulāb na is ān-bān kā
'fāḳhir' jamī huī hai abhī tak vahīñ nigāh
malba paḌā huā hai jahāñ us makān kā
jalta raha charagh yaqin-o-guman ka
lekin hua na dur andhera makan ka
gandum ki baaliyon se bahut raushni hui
is raushni se qarz na utra kisan ka
aanchal kisi ka tez hawa ne uDa diya
kashti se rabta na raha baadban ka
zaKHm-e-nawazishat mahakta raha sada
dekha koi gulab na is aan-ban ka
'faKHir' jami hui hai abhi tak wahin nigah
malba paDa hua hai jahan us makan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.