jalta tha raat hi se dil-e-yasman tamam
jaltā thā raat hī se dil-e-yāsman tamām
ruḳhsat thī sub.h tak ye bahār-e-chaman tamām
jazba ye rashk ka hai ai ushshāq kush mujhe
bāzār se ḳharīd liye haiñ kafan tamām
dil jal rahā hai vahshat-e-yād-e-ġhazāl se
raushan haiñ is charāġh se dasht-o-daman tamām
muddat se haiñ paḌe hue chaukhaT pe yaar kī
pāmāl ho chuke haiñ mire rūh-o-tan tamām
kamzor hai bahut dil-e-be-sāḳhta mirā
aur shahar meñ hukūmat-e-yak-but-shikan tamām
qatl-e-bahār ho gayā phūloñ ke des meñ
ġhunchoñ ne chāk-chāk kiye pairahan tamām
kis kī shab-e-siyāh bujhī koh-e-tūr par
kis āftāb-e-hashr pe aayā gahan tamām
jalta tha raat hi se dil-e-yasman tamam
ruKHsat thi subh tak ye bahaar-e-chaman tamam
jazba ye rashk ka hai ai ushshaq kush mujhe
bazar se KHarid liye hain kafan tamam
dil jal raha hai wahshat-e-yaad-e-ghazal se
raushan hain is charagh se dasht-o-daman tamam
muddat se hain paDe hue chaukhaT pe yar ki
pamal ho chuke hain mere ruh-o-tan tamam
kamzor hai bahut dil-e-be-saKHta mera
aur shahar mein hukumat-e-yak-but-shikan tamam
qatl-e-bahaar ho gaya phulon ke des mein
ghunchon ne chaak-chaak kiye pairahan tamam
kis ki shab-e-siyah bujhi koh-e-tur par
kis aaftab-e-hashr pe aaya gahan tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.