jalte hain aur hum sin jab mangte ho pyala
jalte haiñ aur ham siiñ jab māñgte ho pyāla
hote haiñ daaġh dil meñ juuñ juuñ kate ho lā lā
biksā hai tamām zālim tujh chashm kā dumbālā
laagā hai us ke dil meñ dekhā hai jin meñ bhālā
us shoḳh-e-sarv-qad kuuñ ham jānte the bholā
mil uuprī tarah siiñ kyā de gayā hai baalā
ai sard-mehr tujh siiñ ḳhūbāñ jahāñ ke kāñpe
ḳhurshīd thartharāyā aur maah dekh haalā
jab siiñ tire mulā.em gāloñ meñ dil dhañsā hai
narmī suuñ dil huā hai tab suuñ ruī kā gaalā
faujāñ siiñ baḌh chale juuñ yakkā koī sipāhī
yuuñ ḳhaal chhūT ḳhat señ mukh par rahe nirālā
kyūñkar paḌe na mere girye kā shor jag meñ
umDā hai mujh nayan siiñ añjhuvāñ ke saath naalā
jogī huā pe naatā lālach kā chhoḌtā nahīñ
kahtā hai sab kuuñ baabā japtā phire hai maalā
jhamkī dikhā nigah kī dil chhīn le chalī haiñ
ye kis tirī añkhiyoñ kuuñ sikhlā diyā chhinālā
ash.ār 'ābrū' ke rashk-e-guhar hue haiñ
dāġh-e-suḳhan siiñ us ko luulū huā hai laalā
jalte hain aur hum sin jab mangte ho pyala
hote hain dagh dil mein jun jun kate ho la la
biksa hai tamam zalim tujh chashm ka dumbaala
laga hai us ke dil mein dekha hai jin mein bhaala
us shoKH-e-sarw-qad kun hum jaante the bhola
mil upri tarah sin kya de gaya hai baala
ai sard-mehr tujh sin KHuban jahan ke kanpe
KHurshid thartharaya aur mah dekh haala
jab sin tere mulaem galon mein dil dhansa hai
narmi sun dil hua hai tab sun rui ka gala
faujaan sin baDh chale jun yakka koi sipahi
yun KHal chhuT KHat sen mukh par rahe nirala
kyunkar paDe na mere girye ka shor jag mein
umDa hai mujh nayan sin anjhuwan ke sath nala
jogi hua pe nata lalach ka chhoDta nahin
kahta hai sab kun baba japta phire hai mala
jhamki dikha nigah ki dil chhin le chali hain
ye kis teri ankhiyon kun sikhla diya chhinala
ashaar 'abru' ke rashk-e-guhar hue hain
dagh-e-suKHan sin us ko lulu hua hai lala
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.