jalti rut mein wo phailta saya rakh dega
jaltī rut meñ vo phailtā saaya rakh degā
merī aañkh pe dhuup kā chashma rakh degā
pyaas ko mere lab se chimaTte dekh ke vo
paañv meñ mere jhiil kā rasta rakh degā
jaane na do gul-dānoñ tak us bachche ko
toḌ ke har gamle kā ġhuncha rakh degā
jis se mujhe hai uns purānī qadroñ sā
mere nasīb meñ us kā sadma rakh degā
merī raah kī hājib kā hai us ko jo paas
mere saath safar kā tosha rakh degā
ek din us ke shahr meñ pahuñchūñgā maiñ bhī
mere zehn meñ koī zarīya rakh degā
ḳhauf hai merā dushman merī hastī meñ
ek sadī sā koī lamha rakh degā
dekh sakegā vo na hamārī ḳhushiyoñ ko
baat meñ koī fikr kā nukta rakh degā
jalti rut mein wo phailta saya rakh dega
meri aankh pe dhup ka chashma rakh dega
pyas ko mere lab se chimaTte dekh ke wo
panw mein mere jhil ka rasta rakh dega
jaane na do gul-danon tak us bachche ko
toD ke har gamle ka ghuncha rakh dega
jis se mujhe hai uns purani qadron sa
mere nasib mein us ka sadma rakh dega
meri rah ki hajib ka hai us ko jo pas
mere sath safar ka tosha rakh dega
ek din us ke shahr mein pahunchunga main bhi
mere zehn mein koi zariya rakh dega
KHauf hai mera dushman meri hasti mein
ek sadi sa koi lamha rakh dega
dekh sakega wo na hamari KHushiyon ko
baat mein koi fikr ka nukta rakh dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.