jalwa-ba-jalwa samne aata hai koi aur
jalva-ba-jalva sāmne aatā hai koī aur
lahza-ba-lahza mujh ko lubhātā hai koī aur
parde meñ phuul jalva dikhātā hai koī aur
rang apnā rang-o-bū meñ jamātā hai koī aur
kaisā ġhurūr-e-husn kahāñ kā niyāz-e-ishq
duniyā ko un ke khel dikhātā hai koī aur
maiñ jāntā huuñ shaiḳh-o-barahman kī dauḌ-dhūp
rasta batā ke un ko phirātā hai koī aur
be-ḳhud hai dil ḳhayāl meñ ek mast-e-nāz ke
piitā hai koī aur pilātā hai koī aur
tuutī kī tarah ā.ina-e-kā.enāt meñ
kahtā huuñ vo jo pīchhe sikhātā hai koī aur
'zā.iq' sitam-zarīfī-e-daur-e-zamāñ ko dekh
daulat kisī kī aish uḌātā hai koī aur
jalwa-ba-jalwa samne aata hai koi aur
lahza-ba-lahza mujh ko lubhata hai koi aur
parde mein phul jalwa dikhata hai koi aur
rang apna rang-o-bu mein jamata hai koi aur
kaisa ghurur-e-husn kahan ka niyaz-e-ishq
duniya ko un ke khel dikhata hai koi aur
main jaanta hun shaiKH-o-barahman ki dauD-dhup
rasta bata ke un ko phiraata hai koi aur
be-KHud hai dil KHayal mein ek mast-e-naz ke
pita hai koi aur pilata hai koi aur
tuti ki tarah aaina-e-kaenat mein
kahta hun wo jo pichhe sikhata hai koi aur
'zaiq' sitam-zarifi-e-daur-e-zaman ko dekh
daulat kisi ki aish uData hai koi aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.