jalwa-e-yar meri rahguzar tak pahunche
jalva-e-yār mirī rāhguzar tak pahuñche
zauq-e-dīdār agar tāb-e-nazar tak pahuñche
us kī ye zid mire qadmoñ ko nahīñ thī manzūr
us ne chāhā to bahut thā mire sar tak pahuñche
aa ga.ī sharm davāoñ ko asar kar na sakīñ
jab uThe haath duāoñ ke asar tak pahuñche
fitna-gar naam isī kā hai amal radd-e-amal
tere fitne the palaT kar tire dar tak pahuñche
tū bhī pahchān na pā.egā ḳhad-o-ḳhāl tire
tere bahrūp agar merī nazar tak pahuñche
mere apne hī mirī piiTh ke ḳhanjar nikle
ġhair to mujh ko bachāne mire ghar tak pahuñche
ek sirf aap haiñ milte nahīñ us se varna
log ye faḳhr se kahte haiñ 'qamar' tak pahuñche
jalwa-e-yar meri rahguzar tak pahunche
zauq-e-didar agar tab-e-nazar tak pahunche
us ki ye zid mere qadmon ko nahin thi manzur
us ne chaha to bahut tha mere sar tak pahunche
aa gai sharm dawaon ko asar kar na sakin
jab uThe hath duaon ke asar tak pahunche
fitna-gar nam isi ka hai amal radd-e-amal
tere fitne the palaT kar tere dar tak pahunche
tu bhi pahchan na paega KHad-o-KHal tere
tere bahrup agar meri nazar tak pahunche
mere apne hi meri piTh ke KHanjar nikle
ghair to mujh ko bachane mere ghar tak pahunche
ek sirf aap hain milte nahin us se warna
log ye faKHr se kahte hain 'qamar' tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.