jalwa-numa hai chand sitaro ba-ehtiyat
jalva-numā hai chāñd sitāro ba-ehtiyāt
mahv-e-jamāl-e-yār nazāro ba-ehtiyāt
zulf-e-vafā to pahle sañvāro ba-ehtiyāt
phir jazba-hā-e-shauq ubhāro ba-ehtiyāt
nāz-o-niyāz sehn-e-chaman meñ raheñ zarūr
aao ba-sad-niyāz bahāro ba-ehtiyāt
vaqt-e-sahar duā ke liye haath uTh ga.e
palkoñ pe rahnā ġham ke sitāro ba-ehtiyāt
allāh ke huzūr meñ chalnā hai shād-kām
karnā hai nek kaam jo yaaro ba-ehtiyāt
insāñ kī ḳhud-satā.iyāñ gumrāh kar chalīñ
yaaro tum apnā vaqt guzāro ba-ehtiyāt
'āsī' vo sab kī suntā hai parvardigār hai
māñgo ba-sad-ḳhulūs pukāro ba-ehtiyāt
jalwa-numa hai chand sitaro ba-ehtiyat
mahw-e-jamal-e-yar nazaro ba-ehtiyat
zulf-e-wafa to pahle sanwaro ba-ehtiyat
phir jazba-ha-e-shauq ubhaaro ba-ehtiyat
naz-o-niyaz sehn-e-chaman mein rahen zarur
aao ba-sad-niyaz bahaaro ba-ehtiyat
waqt-e-sahar dua ke liye hath uTh gae
palkon pe rahna gham ke sitaro ba-ehtiyat
allah ke huzur mein chalna hai shad-kaam
karna hai nek kaam jo yaro ba-ehtiyat
insan ki KHud-sataiyan gumrah kar chalin
yaro tum apna waqt guzaro ba-ehtiyat
'asi' wo sab ki sunta hai parwardigar hai
mango ba-sad-KHulus pukaro ba-ehtiyat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.