jalwa-saman hai rang-o-bu humse
jalva-sāmāñ hai rañg-o-bū ham se
is chaman kī hai aabrū ham se
dars lete haiñ ḳhush-ḳhirāmī kā
mauj-e-dariyā-o-āb-jū ham se
har sahar bārgāh-e-shabnam meñ
phuul milte haiñ bā-vazū ham se
ham se raushan hai kār-gāh-e-suḳhan
nafas-e-gul hai mushkbū ham se
shab kī tanhā.iyoñ meñ pichhle pahar
chāñd kartā hai guftugū ham se
shahr meñ ab hamāre charche haiñ
jagmagāte haiñ kāḳh-o-kū ham se
jalwa-saman hai rang-o-bu hum se
is chaman ki hai aabru hum se
dars lete hain KHush-KHirami ka
mauj-e-dariya-o-ab-ju hum se
har sahar bargah-e-shabnam mein
phul milte hain ba-wazu hum se
hum se raushan hai kar-gah-e-suKHan
nafas-e-gul hai mushkbu hum se
shab ki tanhaiyon mein pichhle pahar
chand karta hai guftugu hum se
shahr mein ab hamare charche hain
jagmagate hain kaKH-o-ku hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.