jalwa us but ka charagh-e-rah-e-irfan nikla
jalva us but kā charāġh-e-rah-e-irfāñ niklā
dair se ho ke barahman bhī musalmāñ niklā
baiTh kar dil se na phir tiir kā paikāñ niklā
haa.e ik parda-nashīñ jaan kā ḳhvāhāñ niklā
uf re shoḳhī kī adā bazm-e-azā se merī
muskurātā huā vo fitna-e-daurāñ niklā
kis kī zulfoñ kā tasavvur thā dam-e-fikr-e-suḳhan
dil se mazmūn jo niklā vo pareshāñ niklā
aaj ik jaam pe saaqī ne chaḌhā.ī tyorī
iid ke din bhī hilāl-e-mah-e-ramazāñ niklā
rāh-e-sahrā-e-junūñ qais se bhī tai na huī
ek ik zarre meñ ek ek bayābāñ niklā
naam hai ma.arka-e-sher meñ apnā 'safdar'
haath se mere na ab tak koī maidāñ niklā
jalwa us but ka charagh-e-rah-e-irfan nikla
dair se ho ke barahman bhi musalman nikla
baiTh kar dil se na phir tir ka paikan nikla
hae ek parda-nashin jaan ka KHwahan nikla
uf re shoKHi ki ada bazm-e-aza se meri
muskuraata hua wo fitna-e-dauran nikla
kis ki zulfon ka tasawwur tha dam-e-fikr-e-suKHan
dil se mazmun jo nikla wo pareshan nikla
aaj ek jam pe saqi ne chaDhai tyori
id ke din bhi hilal-e-mah-e-ramazan nikla
rah-e-sahra-e-junun qais se bhi tai na hui
ek ek zarre mein ek ek bayaban nikla
nam hai marka-e-sher mein apna 'safdar'
hath se mere na ab tak koi maidan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.