jalwe tere jo raunaq-e-bazar ho gae
jalve tire jo raunaq-e-bāzār ho ga.e
ḳhūbān-e-ḳhud-farosh ḳharīdār ho ga.e
talvoñ se rāsta chaman-e-dil-kushā banā
jalvoñ se aa.ina dar-o-dīvār ho ga.e
dil jāñ-ba-lab jigar meñ tapak jaan be-qarār
ham terā naam le ke gunahgār ho ga.e
gulzār hai bahār yūñhī husn-e-yār se
jaise chaman bahār se gulzār ho ga.e
ye husn-e-ḳhud-farosh ajab jins hai 'hasan'
vo bik ga.e jo us ke ḳharīdār ho ga.e
jalwe tere jo raunaq-e-bazar ho gae
KHuban-e-KHud-farosh KHaridar ho gae
talwon se rasta chaman-e-dil-kusha bana
jalwon se aaina dar-o-diwar ho gae
dil jaan-ba-lab jigar mein tapak jaan be-qarar
hum tera nam le ke gunahgar ho gae
gulzar hai bahaar yunhi husn-e-yar se
jaise chaman bahaar se gulzar ho gae
ye husn-e-KHud-farosh ajab jins hai 'hasan'
wo bik gae jo us ke KHaridar ho gae
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 137)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.