jamal-e-husn ko jab be-hijab dekhenge
jamāl-e-husn ko jab be-hijāb dekheñge
nigāh-e-shauq tirā intiḳhāb dekheñge
majāl-e-dīd na zauq-e-nazar milī jin ko
tajalliyāt ko vo be-naqāb dekheñge
milegī un ko yaqīnan sukūn kī daulat
baġhaur jab bhī ḳhudā kī kitāb dekheñge
hamārā shauq-e-safar manziloñ ko chhū legā
phir apne aap ko ham kāmyāb dekheñge
har ek lamha isī aas meñ guzartā hai
kabhī to bāb-e-risālat-ma.āb dekheñge
na 'dard' hogā na kuchh dard meñ kasak baaqī
jab un kā lutf-o-karam be-hisāb dekheñge
jamal-e-husn ko jab be-hijab dekhenge
nigah-e-shauq tera intiKHab dekhenge
majal-e-did na zauq-e-nazar mili jin ko
tajalliyat ko wo be-naqab dekhenge
milegi un ko yaqinan sukun ki daulat
baghaur jab bhi KHuda ki kitab dekhenge
hamara shauq-e-safar manzilon ko chhu lega
phir apne aap ko hum kaamyab dekhenge
har ek lamha isi aas mein guzarta hai
kabhi to bab-e-risalat-maab dekhenge
na 'dard' hoga na kuchh dard mein kasak baqi
jab un ka lutf-o-karam be-hisab dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.