jamal-e-yar ko dekhun kamal-e-yar se pahle
jamal-e-yar ko dekhun kamal-e-yar se pahle
Neelma Naheed Durrani
MORE BYNeelma Naheed Durrani
jamāl-e-yār ko dekhūñ kamāl-e-yār se pahle
maiñ ḳhushbū kī tarah mahkūñ ḳhayāl-e-yār se pahle
karishme husn ke sūraj sitāre phuul zāhir haiñ
magar maiñ kis taraf dekhūñ misāl-e-yār se pahle
duāoñ meñ mirī yuuñ to bahut tāsīr hai lekin
maiñ us se aur kyā māñgūñ savāl-e-yār se pahle
hai aadat duur rahne kī agar vo sāmne aa.e
maiñ shām-e-zindagī chāhūñ visāl-e-yār se pahle
sabhī mausam hoñ ḳhushiyoñ ke jahāñ us kā baserā ho
zamāne ko badal Dālūñ zavāl-e-yār se pahle
jamal-e-yar ko dekhun kamal-e-yar se pahle
main KHushbu ki tarah mahkun KHayal-e-yar se pahle
karishme husn ke suraj sitare phul zahir hain
magar main kis taraf dekhun misal-e-yar se pahle
duaon mein meri yun to bahut tasir hai lekin
main us se aur kya mangun sawal-e-yar se pahle
hai aadat dur rahne ki agar wo samne aae
main sham-e-zindagi chahun visal-e-yar se pahle
sabhi mausam hon KHushiyon ke jahan us ka basera ho
zamane ko badal Dalun zawal-e-yar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.