jami hun barf ki surat pighalna chahti hun main
jamī huuñ barf kī sūrat pighalnā chāhtī huuñ maiñ
hisār-e-zāt se bāhar nikalnā chāhtī huuñ maiñ
diyā ban kar nihāñ-ḳhānoñ meñ jalnā chāhtī huuñ maiñ
kisī kī ruuh ke sāñche meñ Dhalnā chāhtī huuñ maiñ
judā hotī hī aa.ī hai hamesha 'hīr' rāñjhe se
ab is rasm-e-mohabbat ko badalnā chāhtī huuñ maiñ
maiñ jis miTTī se aa.ī huuñ usī miTTī meñ milne tak
hazāroñ baar gir kar bhī sambhalnā chāhtī huuñ maiñ
ḳhizāñ ke Dar se ghabrā kar palaTnā chāhtā hai vo
har ik mausam meñ jis ke saath chalnā chāhtī huuñ maiñ
miTā Daalā hai yak-jehtī ko is firqa-parastī ne
kisī sūrat bhī ye sūrat badalnā chāhtī huuñ maiñ
maiñ chāhtī huuñ ki ban jā.ūñ kisī kī aarzū 'mīnā'
kisī kā ḳhvāb ban kar dil meñ palnā chāhtī huuñ maiñ
jami hun barf ki surat pighalna chahti hun main
hisar-e-zat se bahar nikalna chahti hun main
diya ban kar nihan-KHanon mein jalna chahti hun main
kisi ki ruh ke sanche mein Dhalna chahti hun main
juda hoti hi aai hai hamesha 'hir' ranjhe se
ab is rasm-e-mohabbat ko badalna chahti hun main
main jis miTTi se aai hun usi miTTi mein milne tak
hazaron bar gir kar bhi sambhalna chahti hun main
KHizan ke Dar se ghabra kar palaTna chahta hai wo
har ek mausam mein jis ke sath chalna chahti hun main
miTa Dala hai yak-jehti ko is firqa-parasti ne
kisi surat bhi ye surat badalna chahti hun main
main chahti hun ki ban jaun kisi ki aarzu 'mina'
kisi ka KHwab ban kar dil mein palna chahti hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.