jamuna mein kal naha kar jab usne baal bandhe
jamuna mein kal naha kar jab usne baal bandhe
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
jamunā meñ kal nahā kar jab us ne baal bāñdhe
ham ne bhī apne dil meñ kyā kyā ḳhayāl bāñdhe
aisā shikoh us kī sūrat meñ hai ki nāgah
aave jo sāmne se dast-e-majāl bāñdhe
āñkhoñ se gar kare vo zulfoñ ko Tuk ishāra
aaveñ chale hazāroñ vahshī ġhazāl bāñdhe
iisā o ḳhizr tak bhī pahuñche ajal kā muzhda
tū teġh agar kamar par bahr-e-qitāl bāñdhe
laale kī shāḳh hargiz lahke na phir chaman meñ
gar sar pe surḳh chīrā vo naunihāl bāñdhe
lat āshiqī kī koī jaa.e hai āshiqoñ se
go bādshāh DāñDe go kotvāl bāñdhe
ham kis tarah se dekheñ jab de de pech laḌ ke
chīre ke pechoñ meñ to zulfoñ ke baal bāñdhe
banda huuñ maiñ to us kī āñkhoñ kī sāhirī kā
tār-e-nazar se jis ne sāhab-kamāl bāñdhe
ham ek bose ke bhī mamnūñ nahīñ kisī ke
chāhe so koī tohmat roz-e-visāl bāñdhe
soz-e-dil apnā us ko kyā 'mus.hafī' sunāveñ
aago hī vo phire hai kānoñ se shaal bāñdhe
jamuna mein kal naha kar jab us ne baal bandhe
hum ne bhi apne dil mein kya kya KHayal bandhe
aisa shikoh us ki surat mein hai ki nagah
aawe jo samne se dast-e-majal bandhe
aankhon se gar kare wo zulfon ko Tuk ishaara
aawen chale hazaron wahshi ghazal bandhe
isa o KHizr tak bhi pahunche ajal ka muzhda
tu tegh agar kamar par bahr-e-qital bandhe
lale ki shaKH hargiz lahke na phir chaman mein
gar sar pe surKH chira wo naunihaal bandhe
lat aashiqi ki koi jae hai aashiqon se
go baadshah DanDe go kotwal bandhe
hum kis tarah se dekhen jab de de pech laD ke
chire ke pechon mein to zulfon ke baal bandhe
banda hun main to us ki aankhon ki sahiri ka
tar-e-nazar se jis ne sahab-kamal bandhe
hum ek bose ke bhi mamnun nahin kisi ke
chahe so koi tohmat roz-e-visal bandhe
soz-e-dil apna us ko kya 'mushafi' sunawen
aago hi wo phire hai kanon se shaal bandhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.