janab-e-shaiKH ki harza-sarai jari hai
janāb-e-shaiḳh kī harza-sarā.ī jaarī hai
udhar se zulm idhar se duhā.ī jaarī hai
bichhaḌ gayā huuñ magar yaad kartā rahtā huuñ
kitāb chhoḌ chukā huuñ paḌhā.ī jaarī hai
tire alāva kahīñ aur bhī mulavvis huuñ
tirī vafā se mirī bevafā.ī jaarī hai
vo kyuuñ kaheñge ki donoñ meñ amn ho jaa.e
hamārī jañg se jin kī kamā.ī jaarī hai
ajiib ḳhabt-e-masīhā.ī hai ki hairat hai
marīz mar bhī chukā hai davā.ī jaarī hai
janab-e-shaiKH ki harza-sarai jari hai
udhar se zulm idhar se duhai jari hai
bichhaD gaya hun magar yaad karta rahta hun
kitab chhoD chuka hun paDhai jari hai
tere alawa kahin aur bhi mulawwis hun
teri wafa se meri bewafai jari hai
wo kyun kahenge ki donon mein amn ho jae
hamari jang se jin ki kamai jari hai
ajib KHabt-e-masihai hai ki hairat hai
mariz mar bhi chuka hai dawai jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.