jang se aage ab jidal pe hain
jang se aage ab jidāl pe haiñ
go ki shamshīr ehtimāl pe haiñ
dīdanī the jo dīdanī na rahe
zaḳhm-ḳhurda haiñ indimāl pe haiñ
maut ye zindagī se kahtī hai
ab gale mil lo ham uchhāl pe haiñ
kyā ye āvāz us ġhanīm kī hai
jis ke mābain jis kī Dhaal pe haiñ
kuchh haiñ tūfān bād-o-bārāñ par
aur kuchh bād-e-barshgāl pe haiñ
ham sarāpā javāb haiñ lekin
ham bhī qaa.em kisī savāl pe haiñ
be-sutūñ āsmān-o-abr-e-ravāñ
munhasir rabb-e-zul-jalāl pe haiñ
kitnī hairat-zada haiñ dīvāreñ
naqsh in ke ruḳh-e-malāl pe haiñ
ye 'anīs'-e-nahīf aur nazār
jo bhī haiñ rashk qīl-o-qāl pe haiñ
jang se aage ab jidal pe hain
go ki shamshir ehtimal pe hain
didani the jo didani na rahe
zaKHm-KHurda hain indimal pe hain
maut ye zindagi se kahti hai
ab gale mil lo hum uchhaal pe hain
kya ye aawaz us ghanim ki hai
jis ke mabain jis ki Dhaal pe hain
kuchh hain tufan baad-o-baran par
aur kuchh baad-e-barshgal pe hain
hum sarapa jawab hain lekin
hum bhi qaem kisi sawal pe hain
be-sutun aasman-o-abr-e-rawan
munhasir rabb-e-zul-jalal pe hain
kitni hairat-zada hain diwaren
naqsh in ke ruKH-e-malal pe hain
ye 'anis'-e-nahif aur nazar
jo bhi hain rashk qil-o-qal pe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.