Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo

Ibn e Insha

jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    jañgal jañgal shauq se ghūmo dasht sair mudām karo

    'inshā'-jī ham paas bhī lekin raat raat qayām karo

    ashkoñ se apne dil ko hikāyat dāman par irqām karo

    ishq meñ jab yahī kaam hai yaar vale ke ḳhudā naam karo

    kab se khaḌe haiñ bar meñ ḳhirāj-e-ishq ke liye sar-e-rāh-guzār

    ek nazar se sāda-raḳhū ham sāda-diloñ ko ġhulām karo

    dil matā.a to luuT rahe ho husn hai zakāt kabhī

    roz-e-hisāb qarīb hai logo kuchh to savāb kaam karo

    'mīr' se bai.at hai to 'inshā' miir bai.at bhī hai zarūr

    shaam ko ro ro sub.h karo ab sub.h ko ro ro shaam karo

    jangal jangal shauq se ghumo dasht ki sair mudam karo

    'insha'-ji hum pas bhi lekin raat ki raat qayam karo

    ashkon se apne dil ko hikayat daman par irqam karo

    ishq mein jab yahi kaam hai yar wale ke KHuda ka nam karo

    kab se khaDe hain bar mein KHiraj-e-ishq ke liye sar-e-rah-guzar

    ek nazar se sada-raKHu hum sada-dilon ko ghulam karo

    dil ki mataa to luT rahe ho husn ki di hai zakat kabhi

    roz-e-hisab qarib hai logo kuchh to sawab ka kaam karo

    'mir' se baiat ki hai to 'insha' mir ki baiat bhi hai zarur

    sham ko ro ro subh karo ab subh ko ro ro sham karo

    Source :
    • Book : Chand Nagar (Pg. 105)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now