jangal mein kabhi jo ghar banaun
jañgal meñ kabhī jo ghar banā.ūñ
us mor ko ham-shajar banā.ūñ
bahte jaate haiñ ā.īne sab
maiñ bhī to koī bhañvar banā.ūñ
duurī hai bas ek faisle kī
patvār chunūñ ki par banā.ūñ
bahtī huī aag se parinda
bāñhoñ meñ sameT kar banā.ūñ
ghar sauñp duuñ gard-e-rahguzar ko
dahlīz ko ham-safar banā.ūñ
ho fursat-e-ḳhvāb jo mayassar
ik aur hī bahr o bar banā.ūñ
jangal mein kabhi jo ghar banaun
us mor ko ham-shajar banaun
bahte jate hain aaine sab
main bhi to koi bhanwar banaun
duri hai bas ek faisle ki
patwar chunun ki par banaun
bahti hui aag se parinda
banhon mein sameT kar banaun
ghar saunp dun gard-e-rahguzar ko
dahliz ko ham-safar banaun
ho fursat-e-KHwab jo mayassar
ek aur hi bahr o bar banaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.