jarahat-tohfa almas-armughan dagh-e-jigar hadiya
jarāhat-tohfa almās-armuġhāñ dāġh-e-jigar hadiya
mubārakbād 'asad' ġham-ḳhvār-e-jān-e-dardmand aayā
junūñ garm intizār o naala betābī kamand aayā
suvaidā tā ba-lab zanjīrī-e-dūd-e-sipand aayā
mah-e-aḳhtar-fashāñ kī bahr istiqbāl āñkhoñ se
tamāshā kishvar-e-ā.īna meñ ā.īna-band aayā
taġhāful bad-gumānī balki merī saḳht-jānī se
nigāh-e-be-hijāb-e-nāz ko bīm-e-gazand aayā
fazā-e-ḳhanda-e-gul tang o zauq-e-aish be-parvā
farāġhat-gāh-e-āġhosh-e-vidā-e-dil-pasand aayā
adam hai ḳhair-ḳhvāh-e-jalva ko zindān-e-betābi
ḳhirām-e-nāz barq-e-ḳhirman-e-sa.ī-e-sipand aayā
jarahat-tohfa almas-armughan dagh-e-jigar hadiya
mubarakbaad 'asad' gham-KHwar-e-jaan-e-dardmand aaya
junun garm intizar o nala betabi kamand aaya
suwaida ta ba-lab zanjiri-e-dud-e-sipand aaya
mah-e-aKHtar-fashan ki bahr istiqbaal aankhon se
tamasha kishwar-e-aina mein aaina-band aaya
taghaful bad-gumani balki meri saKHt-jaani se
nigah-e-be-hijab-e-naz ko bim-e-gazand aaya
faza-e-KHanda-e-gul tang o zauq-e-aish be-parwa
faraghat-gah-e-aghosh-e-wida-e-dil-pasand aaya
adam hai KHair-KHwah-e-jalwa ko zindan-e-betabi
KHiram-e-naz barq-e-KHirman-e-sai-e-sipand aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.