jashn-e-awargi-o-ranj-e-masafat ka sharik
jashn-e-āvārgī-o-ranj-e-masāfat kā sharīk
dasht kā dasht huā hai mirī vahshat kā sharīk
ab palaTne kā safar hai to nazar aatā nahīñ
vo jo rahtā thā hamesha mirī ujlat kā sharīk
ham ki har qarn meñ mil mil ke bichhaḌne vaale
aa ḳhudā ko bhī kareñ apnī rivāyat kā sharīk
sirf āñkhoñ ke namak ne nahīñ sīñchī hai ġhazal
dāna-e-dil bhī hai chakkī kī mashaqqat kā sharīk
chhoḌ jaatā hai kisī vaqt to dil bhī tanhā
kaun hotā hai mirī jaañ shab-e-vahshat kā sharīk
rang se rang milā aur huā ham-āmez
yuuñ banā vasl tire hijr kī rāhat kā sharīk
tū batā zard zamānoñ meñ bhaTakte hue chāñd
kaun rahtā hai is ā.īne kī hairat kā sharīk
munjamid vaqt ke TukḌoñ meñ pighaltī huī maiñ
aur ik lams mire lams kī hiddat kā sharīk
jashn-e-awargi-o-ranj-e-masafat ka sharik
dasht ka dasht hua hai meri wahshat ka sharik
ab palaTne ka safar hai to nazar aata nahin
wo jo rahta tha hamesha meri ujlat ka sharik
hum ki har qarn mein mil mil ke bichhaDne wale
aa KHuda ko bhi karen apni riwayat ka sharik
sirf aankhon ke namak ne nahin sinchi hai ghazal
dana-e-dil bhi hai chakki ki mashaqqat ka sharik
chhoD jata hai kisi waqt to dil bhi tanha
kaun hota hai meri jaan shab-e-wahshat ka sharik
rang se rang mila aur hua ham-amez
yun bana wasl tere hijr ki rahat ka sharik
tu bata zard zamanon mein bhaTakte hue chand
kaun rahta hai is aaine ki hairat ka sharik
munjamid waqt ke TukDon mein pighalti hui main
aur ek lams mere lams ki hiddat ka sharik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.