jashn-e-gham-ha-e-dil manata hun
jashn-e-ġham-hā-e-dil manātā huuñ
choT khātā huuñ muskurātā huuñ
hādsoñ se guzartā jaatā huuñ
jazba-e-dil ko āzmātā huuñ
ashk-e-ġham kī latīf shabnam se
terī yādoñ ke gul khilātā huuñ
ġham-e-daurāñ kī tez āñdhī meñ
diip ummīd ke jalātā huuñ
sāmnā jab bhī un kā ho 'shāhīn'
baat kahne kī bhuul jaatā huuñ
jashn-e-gham-ha-e-dil manata hun
choT khata hun muskuraata hun
hadson se guzarta jata hun
jazba-e-dil ko aazmata hun
ashk-e-gham ki latif shabnam se
teri yaadon ke gul khilata hun
gham-e-dauran ki tez aandhi mein
dip ummid ke jalata hun
samna jab bhi un ka ho 'shahin'
baat kahne ki bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.