jashn-e-soz-e-gham manate jaiye
jashn-e-soz-e-ġham manāte jā.iye
ashk palkoñ par sajāte jā.iye
zindagī bhar muskurāte jā.iye
gauhar-e-hastī luTāte jā.iye
zehn kī tārīkiyāñ miT jā.eñgī
sham-e-fikr-o-fan jalāte jā.iye
asr-e-hāzir kā yahī hai mudda.ā
zaḳhm khā kar muskurāte jā.iye
ye dayār-e-ishq kā dastūr hai
ashk palkoñ meñ chhupāte jā.iye
muntazir haiñ ahl-e-fan 'anvar' miyāñ
ik ġhazal taaza sunāte jā.iye
jashn-e-soz-e-gham manate jaiye
ashk palkon par sajate jaiye
zindagi bhar muskuraate jaiye
gauhar-e-hasti luTate jaiye
zehn ki tarikiyan miT jaengi
sham-e-fikr-o-fan jalate jaiye
asr-e-hazir ka yahi hai muddaa
zaKHm kha kar muskuraate jaiye
ye dayar-e-ishq ka dastur hai
ashk palkon mein chhupate jaiye
muntazir hain ahl-e-fan 'anwar' miyan
ek ghazal taza sunate jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.