jasta jasta mauj-e-tufani mein tha
jasta jasta mauj-e-tūfānī meñ thā
aks us kā ham-safar paanī meñ thā
kyā ye masjūd-e-malā.ik hai vahī
ḳhāliq-e-kaunain hairānī meñ thā
teġh par jis ke thā sūraj kā lahū
shaam ko vo marsiya-ḳhvānī meñ thā
ruḳh pe zulfoñ kī ghaTā chhā.ī huī
chāñd goyā niim uryānī meñ thā
tīrgī thī bas charāġhoñ ke tale
aur gird-o-pesh tābānī meñ thā
jaan apnī nazar kī jis dost par
vo bhī 'haidar' dushman-e-jānī meñ thā
jasta jasta mauj-e-tufani mein tha
aks us ka ham-safar pani mein tha
kya ye masjud-e-malaik hai wahi
KHaliq-e-kaunain hairani mein tha
tegh par jis ke tha suraj ka lahu
sham ko wo marsiya-KHwani mein tha
ruKH pe zulfon ki ghaTa chhai hui
chand goya nim uryani mein tha
tirgi thi bas charaghon ke tale
aur gird-o-pesh tabani mein tha
jaan apni nazar ki jis dost par
wo bhi 'haidar' dushman-e-jaani mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.