jatae jate hain ehsan bhi sata ke mujhe
jatā.e jaate haiñ ehsān bhī satā ke mujhe
sikhā rahe haiñ vo goyā chalan vafā ke mujhe
rakhā na ham ko kahīñ kā tirī mohabbat ne
vo kah rahe haiñ adū se sunā sunā ke mujhe
tamīz-e-ishq-o-havas peshtar na thī un ko
vo aur ho ga.e maġhrūr aazmā ke mujhe
shab-e-visāl adā.eñ bhī haiñ jafā.eñ bhī
dikhā.e jaate haiñ andāz kis balā ke mujhe
jo sair dekhnī manzūr hai tumheñ 'beḳhud'
bhiḌā do hazrat-e-zāhid se mai pilā ke mujhe
jatae jate hain ehsan bhi sata ke mujhe
sikha rahe hain wo goya chalan wafa ke mujhe
rakha na hum ko kahin ka teri mohabbat ne
wo kah rahe hain adu se suna suna ke mujhe
tamiz-e-ishq-o-hawas peshtar na thi un ko
wo aur ho gae maghrur aazma ke mujhe
shab-e-visal adaen bhi hain jafaen bhi
dikhae jate hain andaz kis bala ke mujhe
jo sair dekhni manzur hai tumhein 'beKHud'
bhiDa do hazrat-e-zahid se mai pila ke mujhe
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 177)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.