jaur kab tak saha kare koi
jaur kab tak sahā kare koī
sabr kab tak kiyā kare koī
kahīñ dushman bhī dost hote haiñ
tum na samjho to kyā kare koī
tum baḌe pārsā sahī lekin
bad-gumānī ko kyā kare koī
de ke dil tum ko jaan se jaate
phir tumheñ le ke kyā kare koī
dil agar ho kisī kā kahne meñ
kyoñ kisī kī sunā kare koī
deñ adū ko duā vo jiine kī
mar na jaa.e to kyā kare koī
kahte haiñ tujh se dil nahīñ miltā
is ko 'mahmūd' kyā kare koī
jaur kab tak saha kare koi
sabr kab tak kiya kare koi
kahin dushman bhi dost hote hain
tum na samjho to kya kare koi
tum baDe parsa sahi lekin
bad-gumani ko kya kare koi
de ke dil tum ko jaan se jate
phir tumhein le ke kya kare koi
dil agar ho kisi ka kahne mein
kyon kisi ki suna kare koi
den adu ko dua wo jine ki
mar na jae to kya kare koi
kahte hain tujh se dil nahin milta
is ko 'mahmud' kya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.