jawan jis din se ye gulshan hua hai
javāñ jis din se ye gulshan huā hai
jise dekho vahī dushman huā hai
kareñ nā shā.irī to kyā kareñ ham
hameñ hāsil yahī ik fan huā hai
mile haiñ yaar ham ko saañp jaise
tabhī to peḌ ye chandan huā hai
jalā.e haiñ musalsal ḳhvāb apne
mirā ghar yuuñ nahīñ raushan huā hai
asar kuchh to hai añgrezoñ kā sāhab
yūñhī thoḌī ye sūraj sun huā hai
rakhā hai vazn ham ne filoñ par
tabhī to kaam sab fauran huā hai
jawan jis din se ye gulshan hua hai
jise dekho wahi dushman hua hai
karen na shairi to kya karen hum
hamein hasil yahi ek fan hua hai
mile hain yar hum ko sanp jaise
tabhi to peD ye chandan hua hai
jalae hain musalsal KHwab apne
mera ghar yun nahin raushan hua hai
asar kuchh to hai angrezon ka sahab
yunhi thoDi ye suraj sun hua hai
rakha hai wazn hum ne filon par
tabhi to kaam sab fauran hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.